sath mein ji lun ya jite ji mar jaun
saath meñ jī luuñ yā jiite jī mar jā.ūñ
apnā sab kuchh tujh ko arpan kar jā.ūñ
terī ḳhātir chhoḌ diyā ghar-bār apnā
bol maiñ kyā muñh le kar apne ghar jā.ūñ
duniyā kī saarī daulat ik or karūñ
terā saath agar pā.ūñ to tar jā.ūñ
dil kā konā ḳhālī ḳhālī lagtā hai
mil jaa.e jo saath terā to bhar jā.ūñ
merā bas ik ḳhvāb hai 'mohit' jīvan meñ
kuchh nekī ke kaam jahāñ meñ kar jā.ūñ
sath mein ji lun ya jite ji mar jaun
apna sab kuchh tujh ko arpan kar jaun
teri KHatir chhoD diya ghar-bar apna
bol main kya munh le kar apne ghar jaun
duniya ki sari daulat ek or karun
tera sath agar paun to tar jaun
dil ka kona KHali KHali lagta hai
mil jae jo sath tera to bhar jaun
mera bas ek KHwab hai 'mohit' jiwan mein
kuchh neki ke kaam jahan mein kar jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.