sath mere dil-e-tabah to hai
saath mere dil-e-tabāh to hai
mere ġham kā ḳhudā gavāh to hai
aur kyā chāhiye zamāne ko
sarsarī ek rasm-o-rāh to hai
mujh ko tanhā.ī to mayassar hai
so mirī ik panāh-gāh to hai
kyoñ karūñ ehtimām raushnī kā
saath mere shab-e-siyāh to hai
tum ne sochā hai kyā kabhī 'shabnam'
zulm sahnā bhī ik gunāh to hai
sath mere dil-e-tabah to hai
mere gham ka KHuda gawah to hai
aur kya chahiye zamane ko
sarsari ek rasm-o-rah to hai
mujh ko tanhai to mayassar hai
so meri ek panah-gah to hai
kyon karun ehtimam raushni ka
sath mere shab-e-siyah to hai
tum ne socha hai kya kabhi 'shabnam'
zulm sahna bhi ek gunah to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.