Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sawan ka mahina bhi hai barish bhi nahin hai

Khalid Raheem

sawan ka mahina bhi hai barish bhi nahin hai

Khalid Raheem

MORE BYKhalid Raheem

    sāvan mahīna bhī hai bārish bhī nahīñ hai

    sūkhe hue khetoñ pe navāzish bhī nahīñ hai

    ab sar-ba-garebāñ hai mire shahr mausam

    ahbāb bhī ḳhāmosh haiñ sāzish bhī nahīñ hai

    har moḌ pe miltī haiñ tahayyur lakīreñ

    pahle tarah tarz-e-nigārish bhī nahīñ hai

    har gaam pe tūfāñ tasalsul hai mire saath

    pairoñ meñ abhī tak mire laġhzish bhī nahīñ hai

    maiñ raḳht-e-safar bāñdh ke niklā to huuñ ghar se

    har gosha-e-dil meñ koī ḳhvāhish bhī nahīñ hai

    sākit hai fazā vaqt masmūm havā se

    titlī ke paroñ meñ koī jumbish bhī nahīñ hai

    mehnat sila kaise karegā vo muqarrar

    'ḳhālid' mire hamrāh sifārish bhī nahīñ hai

    sawan ka mahina bhi hai barish bhi nahin hai

    sukhe hue kheton pe nawazish bhi nahin hai

    ab sar-ba-gareban hai mere shahr ka mausam

    ahbab bhi KHamosh hain sazish bhi nahin hai

    har moD pe milti hain tahayyur ki lakiren

    pahle ki tarah tarz-e-nigarish bhi nahin hai

    har gam pe tufan ka tasalsul hai mere sath

    pairon mein abhi tak mere laghzish bhi nahin hai

    main raKHt-e-safar bandh ke nikla to hun ghar se

    har gosha-e-dil mein koi KHwahish bhi nahin hai

    sakit hai faza waqt ki masmum hawa se

    titli ke paron mein koi jumbish bhi nahin hai

    mehnat ka sila kaise karega wo muqarrar

    'KHalid' mere hamrah sifarish bhi nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now