sawan-rut aur uDti purwa tere nam
sāvan-rut aur uḌtī purvā tere naam
dhūp-nagar se hai ye tohfa tere naam
surḳh gulāb ke saare mausam tere liye
ḳhvāboñ kā har ek darīcha tere naam
chāñd kī āñkheñ phuul kī ḳhushbū bahtī raat
qurbat kā har ek vasīla tere naam
barf meñ phailā shaam dhundalkā tere liye
har ik sub.h kā pahlā ujālā tere naam
hañstī huī sī terī āñkheñ mere liye
bahtī jhiil meñ phuul kañval kā tere naam
terī yaad kā bahtā dariyā mere liye
chāhat kā ye tanhā jazīra tere naam
duniyā-bhar meñ jitne manzar achchhe haiñ
un kā husn aur shor havā kā tere naam
sawan-rut aur uDti purwa tere nam
dhup-nagar se hai ye tohfa tere nam
surKH gulab ke sare mausam tere liye
KHwabon ka har ek daricha tere nam
chand ki aankhen phul ki KHushbu bahti raat
qurbat ka har ek wasila tere nam
barf mein phaila sham dhundalka tere liye
har ek subh ka pahla ujala tere nam
hansti hui si teri aankhen mere liye
bahti jhil mein phul kanwal ka tere nam
teri yaad ka bahta dariya mere liye
chahat ka ye tanha jazira tere nam
duniya-bhar mein jitne manzar achchhe hain
un ka husn aur shor hawa ka tere nam
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 69)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.