Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saya agar nasib ho diwar-e-yar ka

Yagana Changezi

saya agar nasib ho diwar-e-yar ka

Yagana Changezi

MORE BYYagana Changezi

    saaya agar nasīb ho dīvār-e-yār

    kyā martaba buland ho apne mazār

    vo dasht-e-haulnāk vo hubb-e-vatan josh

    phir phir ke dekhnā vo kisī be-dayār

    lau de rahī hai shaam se aaj āh-e-ātishīñ

    shola bhaḌak rahā hai dil-e-dāġhdār

    tasvīr-e-naza.a dekhnā chāho to dekh lo

    rah rah ke jhilmilānā charāġh-e-mazār

    par taulne lage phir asīrān-e-bad-nasīb

    shāyad qarīb aa gayā mausam bahār

    mū-e-safed kāñpte haath aur jām-e-mai

    dikhlā rahe haiñ rañg ḳhizāñ meñ bahār

    añgḌā.iyoñ ke saath kahīñ dam nikal na jaa.e

    āsāñ nahīñ hai ranj uThānā ḳhumār

    saaqī girā na dījiyo ye jām-e-āḳhirī

    dil TuuT jā.egā kisī ummīd-vār

    mastoñ rūheñ bhaTkeñgī achchhā nahīñ hai ab

    ghir-ghir ke aanā qabroñ par abr-e-bahār

    dekho to apne vahshiyoñ jāma-zebīyāñ

    allāh re husn pairahan-e-tār-tār

    jurm-e-guzishta afv kun o mājrā mapurs

    maarā huā huuñ is dil-e-be-iḳhtiyār

    duniyā se 'yās' jaane ko chāhtā nahīñ

    allāh re husn gulshan-e-nā-pā.edār

    saya agar nasib ho diwar-e-yar ka

    kya martaba buland ho apne mazar ka

    wo dasht-e-haulnak wo hubb-e-watan ka josh

    phir phir ke dekhna wo kisi be-dayar ka

    lau de rahi hai sham se aaj aah-e-atishin

    shola bhaDak raha hai dil-e-daghdar ka

    taswir-e-naza dekhna chaho to dekh lo

    rah rah ke jhilmilana charagh-e-mazar ka

    par taulne lage phir asiran-e-bad-nasib

    shayad qarib aa gaya mausam bahaar ka

    mu-e-safed kanpte hath aur jam-e-mai

    dikhla rahe hain rang KHizan mein bahaar ka

    angDaiyon ke sath kahin dam nikal na jae

    aasan nahin hai ranj uThana KHumar ka

    saqi gira na dijiyo ye jam-e-aKHiri

    dil TuT jaega kisi ummid-war ka

    maston ki ruhen bhaTkengi achchha nahin hai ab

    ghir-ghir ke aana qabron par abr-e-bahaar ka

    dekho to apne wahshiyon ki jama-zebiyan

    allah re husn pairahan-e-tar-tar ka

    jurm-e-guzishta afw kun o majra mapurs

    mara hua hun is dil-e-be-iKHtiyar ka

    duniya se 'yas' jaane ko ji chahta nahin

    allah re husn gulshan-e-na-paedar ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now