saya nahin hai dur tak sae mein aaen kis tarah
saaya nahīñ hai duur tak saa.e meñ aa.eñ kis tarah
ham aa ga.e haiñ kis taraf tum ko batā.eñ kis tarah
ye phuul patte chāñdnī ye sūrateñ man-mohnī
aise meñ apnī jāñkanī un se chhupā.eñ kis tarah
'ālam bahārāñ kā sahī manzar gulistāñ kā sahī
bastī bayābāñ kī sahī dāman bachā.eñ kis tarah
jis phuul kī har pankhuḌī hotī hai motī kī laḌī
us phuul kī ḳhātir kabhī aañsū bahā.eñ kis tarah
saya nahin hai dur tak sae mein aaen kis tarah
hum aa gae hain kis taraf tum ko bataen kis tarah
ye phul patte chandni ye suraten man-mohni
aise mein apni jaankani un se chhupaen kis tarah
'alam bahaaran ka sahi manzar gulistan ka sahi
basti bayaban ki sahi daman bachaen kis tarah
jis phul ki har pankhuDi hoti hai moti ki laDi
us phul ki KHatir kabhi aansu bahaen kis tarah
- Book : khvaab numaa (Pg. 48)
- Author : qamar jameel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.