saz-e-alam pe dil naghma-sara hota hai
sāz-e-ālām pe dil naġhma-sarā hotā hai
ai mohabbat ye tire daur meñ kyā hotā hai
phail jaatī hai fazāoñ meñ udāsī kī ghaTā
ishq jab husn se ro ro ke judā hotā hai
hausla diid kā hargiz na kareñ ahl-e-nazar
jalva-e-husn bahut hosh-rubā hotā hai
vo havas hai jo gila kartī hai ranj-o-ġham kā
ishq har haal meñ rāzī-ba-razā hotā hai
un ke mub.ham se ishāroñ kā ta.assur tauba
dil meñ kyā ma.arka-e-yās-o-rajā hotā hai
ham jo kahte haiñ use vaqt kā shahkār-e-jamīl
baat kuchh bhī nahīñ lekin vo ḳhafā hotā hai
ravish-e-ḳhās pe chaltā huuñ adab meñ 'parvez'
mere har sher kā andāz nayā hotā hai
saz-e-alam pe dil naghma-sara hota hai
ai mohabbat ye tere daur mein kya hota hai
phail jati hai fazaon mein udasi ki ghaTa
ishq jab husn se ro ro ke juda hota hai
hausla did ka hargiz na karen ahl-e-nazar
jalwa-e-husn bahut hosh-ruba hota hai
wo hawas hai jo gila karti hai ranj-o-gham ka
ishq har haal mein raazi-ba-raza hota hai
un ke mubham se ishaaron ka tassur tauba
dil mein kya marka-e-yas-o-raja hota hai
hum jo kahte hain use waqt ka shahkar-e-jamil
baat kuchh bhi nahin lekin wo KHafa hota hai
rawish-e-KHas pe chalta hun adab mein 'parwez'
mere har sher ka andaz naya hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.