saz-e-hasti pe agar gao to kuchh baat bane
sāz-e-hastī pe agar gaao to kuchh baat bane
sher ban jaa.eñ jo ye ghaav to kuchh baat bane
ye futūhāt-e-ḳhalā kyā haiñ ba-juz tār-e-harīr
zaat ke pardoñ ko sarkāo to kuchh baat bane
ahl-e-bīnash ho bane ivory-tower meñ to kyā
kabhī dīvānoñ se Takrāo to kuchh baat bane
zulmat-e-shab meñ ye tanhā.ī galā ghoñT na de
shīsha-e-karb hī chamkāo to kuchh baat bane
ilm-o-dānish kī mahaktī huī purvā.iyo kaash
mere siine meñ utar aao to kuchh baat bane
zulm kā saath na do maslahat-andeshī meñ
aao haq-goyoñ meñ aa jaao to kuchh baat bane
jism meñ ruuh kirā.e ke makāñ meñ jaise
ruuh ko apnā banā paao to kuchh baat bane
in razīloñ kī zabāñ-dānī ayāzan-billāh
sayyad-'inshā' ko bulā laao to kuchh baat bane
saz-e-hasti pe agar gao to kuchh baat bane
sher ban jaen jo ye ghaw to kuchh baat bane
ye futuhat-e-KHala kya hain ba-juz tar-e-harir
zat ke pardon ko sarkao to kuchh baat bane
ahl-e-binash ho bane iwory-tower mein to kya
kabhi diwanon se Takrao to kuchh baat bane
zulmat-e-shab mein ye tanhai gala ghonT na de
shisha-e-karb hi chamkao to kuchh baat bane
ilm-o-danish ki mahakti hui purwaiyo kash
mere sine mein utar aao to kuchh baat bane
zulm ka sath na do maslahat-andeshi mein
aao haq-goyon mein aa jao to kuchh baat bane
jism mein ruh kirae ke makan mein jaise
ruh ko apna bana pao to kuchh baat bane
in razilon ki zaban-dani ayazan-billah
sayyad-'insha' ko bula lao to kuchh baat bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.