sazish-e-intishaar mein masruf
sāzish-e-intishār meñ masrūf
hai ḳhizāñ bhī bahār meñ masrūf
ham ne rakhā ka.ī tarah ḳhud ko
fursat-e-intizār meñ masrūf
misl-e-sayyārgāñ banī-ādam
apne apne madār meñ masrūf
ishq rotā hai aaTh aaTh aañsū
husn sola-siñghār meñ masrūf
aah vo vaqt jab lahū merā
thā dil-e-be-qarār meñ masrūf
zindagī kaT rahī hai 'bāsir' kī
be-samar kārobār meñ masrūf
sazish-e-intishaar mein masruf
hai KHizan bhi bahaar mein masruf
hum ne rakha kai tarah KHud ko
fursat-e-intizar mein masruf
misl-e-sayyargan bani-adam
apne apne madar mein masruf
ishq rota hai aaTh aaTh aansu
husn sola-singhaar mein masruf
aah wo waqt jab lahu mera
tha dil-e-be-qarar mein masruf
zindagi kaT rahi hai 'basir' ki
be-samar karobar mein masruf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.