sab charaghon ki hidayat ka matlab samjhe
sab charāġhoñ kī hidāyāt kā matlab samjhe
chāñd rūThā to siyah raat kā matlab samjhe
us pe utre the mohabbat ke sahīfe lekin
ek kāfir kahāñ taurāt kā matlab samjhe
kaun rah rah ke vafāoñ ko nibhānā sīkhe
kaun farsūda rivāyāt kā matlab samjhe
is se pahle to du'āoñ pe yaqīñ thā kam-kam
tū ne chhoḌā to munājāt kā matlab samjhe
jab vo bhar bhar ke luTātā rahā auroñ pe ḳhulūs
ham tahī-dast 'ināyāt kā matlab samjhe
ab kisī aur taraf baat ghumāne vaale
maiñ samajhtī huuñ tirī baat kā matlab samjhe
tujh ko bhī chhoḌ ke jaa.e tirā apnā koī
tū bhī ik roz mukāfāt kā matlab samjhe
sab charaghon ki hidayat ka matlab samjhe
chand ruTha to siyah raat ka matlab samjhe
us pe utre the mohabbat ke sahife lekin
ek kafir kahan tauraat ka matlab samjhe
kaun rah rah ke wafaon ko nibhana sikhe
kaun farsuda riwayat ka matlab samjhe
is se pahle to du'aon pe yaqin tha kam-kam
tu ne chhoDa to munajat ka matlab samjhe
jab wo bhar bhar ke luTata raha auron pe KHulus
hum tahi-dast 'inayat ka matlab samjhe
ab kisi aur taraf baat ghumane wale
main samajhti hun teri baat ka matlab samjhe
tujh ko bhi chhoD ke jae tera apna koi
tu bhi ek roz mukafat ka matlab samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.