sab dida-e-hairat se takte hain dahan us ka
sab dīda-e-hairat se takte haiñ dahan us kā
dariyā kī ravānī hai yā tarz-e-suḳhan us kā
gul-būTe hamāre haiñ aur sehn-e-chaman us kā
zinda hai abhī ham se duniyā meñ chalan us kā
sūraj bhī tapish us ke ruḳhsār se paatā hai
aur kartā hai dil raushan kundan sā badan us kā
guftār meñ paa.ī hai shabnam sī namī us ne
naġhmoñ kī tarah gūñje hai shīrīñ suḳhan us kā
pardes meñ rah kar bhī maiñ zehn meñ rakhtā huuñ
ik us se merā va.ada aur mujh se vachan us kā
ḳhvābīda umangeñ bhī añgḌā.iyāñ letī haiñ
damke jo tasavvur meñ chandan sā badan us kā
mahfil meñ sunātā hai jab 'josh' ġhazal apnī
sab dekhte rahte haiñ ejāz-e-suḳhan us kā
sab dida-e-hairat se takte hain dahan us ka
dariya ki rawani hai ya tarz-e-suKHan us ka
gul-buTe hamare hain aur sehn-e-chaman us ka
zinda hai abhi hum se duniya mein chalan us ka
suraj bhi tapish us ke ruKHsar se pata hai
aur karta hai dil raushan kundan sa badan us ka
guftar mein pai hai shabnam si nami us ne
naghmon ki tarah gunje hai shirin suKHan us ka
pardes mein rah kar bhi main zehn mein rakhta hun
ek us se mera wada aur mujh se wachan us ka
KHwabida umangen bhi angDaiyan leti hain
damke jo tasawwur mein chandan sa badan us ka
mahfil mein sunata hai jab 'josh' ghazal apni
sab dekhte rahte hain ejaz-e-suKHan us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.