sab gharon mein to charaghon ka ujala hoga
sab gharoñ meñ to charāġhoñ kā ujālā hogā
lekin afsurda faqat raat kā chehrā hogā
saarī parchhā.iyāñ goshoñ meñ dubak jā.eñgī
sūraj ubhregā to ye gaañv akelā hogā
ham to vābasta rahe ġham se vafā ke maare
ġham ne kyā jāniye kyūñkar hameñ chāhā hogā
jab khilī hoñgī tamannā ke shajar par kaliyāñ
dasht-e-ummīd meñ tūfān sā uTThā hogā
koī saaya sā hai chup chaap darīche meñ khaḌā
apnī ulfat kā hī shāyad vo hayūlā hogā
sab gharon mein to charaghon ka ujala hoga
lekin afsurda faqat raat ka chehra hoga
sari parchhaiyan goshon mein dubak jaengi
suraj ubhrega to ye ganw akela hoga
hum to wabasta rahe gham se wafa ke mare
gham ne kya jaaniye kyunkar hamein chaha hoga
jab khili hongi tamanna ke shajar par kaliyan
dasht-e-ummid mein tufan sa uTTha hoga
koi saya sa hai chup chap dariche mein khaDa
apni ulfat ka hi shayad wo hayula hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.