sab hai fani yahan sansar mein kis ka kya hai
sab hai faanī yahāñ sansār meñ kis kā kyā hai
fikr phir bhī hai tujhe apnā parāyā kyā hai
aap kā pahlā hī andāz batā detā hai
aap ko aap ke vālid ne sikhāyā kyā hai
zindagī ḳhud pe tū itnā bhī gumāñ mat karnā
chand sāñsoñ ke sivā terā asāsa kyā hai
phir se ik aur laḌā.ī ke bahāne ke sivā
tum batā do ki kisī jañg se miltā kyā hai
umr bhar kuchh na kiyā jis kī tamannā ke sivā
us ne pūchhā bhī nahīñ merī tamannā kyā hai
kuchh ġharīboñ kī galī meñ bhī diye jal jaa.eñ
is se behtar bhī divālī kā ujālā kyā hai
koī jazba koī ehsās na dhaḌkan hai koī
ye agar dil hai mire dost to sahrā kyā hai
daam man-māne use de ke ḳharīdā tū ne
dekh to le tujhe bāzār ne bechā kyā hai
vahī bhūke vahī aaheñ vahī aañsū haiñ 'sahāb'
shahr kā naam badal jaane se badlā kyā hai
sab hai fani yahan sansar mein kis ka kya hai
fikr phir bhi hai tujhe apna paraya kya hai
aap ka pahla hi andaz bata deta hai
aap ko aap ke walid ne sikhaya kya hai
zindagi KHud pe tu itna bhi guman mat karna
chand sanson ke siwa tera asasa kya hai
phir se ek aur laDai ke bahane ke siwa
tum bata do ki kisi jang se milta kya hai
umr bhar kuchh na kiya jis ki tamanna ke siwa
us ne puchha bhi nahin meri tamanna kya hai
kuchh gharibon ki gali mein bhi diye jal jaen
is se behtar bhi diwali ka ujala kya hai
koi jazba koi ehsas na dhaDkan hai koi
ye agar dil hai mere dost to sahra kya hai
dam man-mane use de ke KHarida tu ne
dekh to le tujhe bazar ne becha kya hai
wahi bhuke wahi aahen wahi aansu hain 'sahab'
shahr ka nam badal jaane se badla kya hai
- Book : میں اردو بولوں(شعری مجموعہ) (Pg. 31)
- Author : اجئے سحاب
- Publication : اردو پریس کلب(یو۔پی۔سی) انٹر نیشنل پبلی کیشنز
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.