sab hot na hot se nathri hui aasan ghazal hun chha ke suno
sab hot na hot se nathrī huī āsān ġhazal huuñ chhā ke suno
kabhī guzro nūr-sarā se merī kabhī mujh ko mujh se churā ke suno
mirā dil bhī koī panghaT hai jahāñ pariyāñ paanī bhartī haiñ
koī piiḌā nahīñ koī shor nahīñ sab paanī mirā gahrā ke suno
din raat zamīn kī gardish par sur-tāl biThāte rahte ho
kabhī ḳhud ko bhī hairān karo kabhī dil kī baat sunā ke suno
jo gardan meñ ik ḳham sā hai ye kab se huā ma.alūm nahīñ
ye shaan nishān to miltā hai jab siine kī pathrā ke suno
sab hot na hot se nathri hui aasan ghazal hun chha ke suno
kabhi guzro nur-sara se meri kabhi mujh ko mujh se chura ke suno
mera dil bhi koi panghaT hai jahan pariyan pani bharti hain
koi piDa nahin koi shor nahin sab pani mera gahra ke suno
din raat zamin ki gardish par sur-tal biThate rahte ho
kabhi KHud ko bhi hairan karo kabhi dil ki baat suna ke suno
jo gardan mein ek KHam sa hai ye kab se hua malum nahin
ye shan nishan to milta hai jab sine ki pathra ke suno
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.