sab jal gaya jalte hue KHwabon ke asar se
sab jal gayā jalte hue ḳhvāboñ ke asar se
uThtā hai dhuāñ dil se nigāhoñ se jigar se
aaj us ke janāze meñ hai ik shahr saf-ārā
kal mar gayā jo aadmī tanhā.ī ke Dar se
kab tak ga.e rishtoñ se nibhātā maiñ ta.alluq
is bojh ko ai dost utaar aayā huuñ sar se
jo ā.ina-ḳhāna mirī hairat kā sabab hai
mumkin hai mire ba.ad mirī diid ko tarse
is ahd-e-ḳhizāñ meñ kisī ummīd ke mānind
patthar se nikal aa.uuñ magar abr to barse
rūThe hue sūraj ko manāne kī lagan meñ
ham log sar-e-shām nikal paḌte haiñ ghar se
us shaḳhs kā ab phir se khaḌā honā hai mushkil
is baar girā hai vo zamāne kī nazar se
lagtā hai ki is dil meñ koī qaid hai 'ashfāq'
rone kī sadā aatī hai yādoñ ke khañDar se
sab jal gaya jalte hue KHwabon ke asar se
uThta hai dhuan dil se nigahon se jigar se
aaj us ke janaze mein hai ek shahr saf-ara
kal mar gaya jo aadmi tanhai ke Dar se
kab tak gae rishton se nibhata main talluq
is bojh ko ai dost utar aaya hun sar se
jo aaina-KHana meri hairat ka sabab hai
mumkin hai mere baad meri did ko tarse
is ahd-e-KHizan mein kisi ummid ke manind
patthar se nikal aaun magar abr to barse
ruThe hue suraj ko manane ki lagan mein
hum log sar-e-sham nikal paDte hain ghar se
us shaKHs ka ab phir se khaDa hona hai mushkil
is bar gira hai wo zamane ki nazar se
lagta hai ki is dil mein koi qaid hai 'ashfaq'
rone ki sada aati hai yaadon ke khanDar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.