sab jise kahte hain waqf-e-gham-e-jaanan hona
sab jise kahte haiñ vaqf-e-ġham-e-jānāñ honā
avvalīñ shart hai us ke liye insāñ honā
ġham ke dāġhoñ ne baḌā kaam banāyā dil kā
is siyah-ḳhāne meñ mushkil thā charāġhāñ honā
apne partav ke sivā zehn meñ kuchh bhī na rahā
aur sikhlā.iye ā.īnoñ ko hairāñ honā
uf ye dīvāngī-e-ishq ki is bazm meñ bhī
jab kabhī hosh meñ aanā to pareshāñ honā
bazm-e-ālam ho ki mahshar merī dānist meñ hai
ik tajallī kā ka.ī ruḳh se numāyāñ honā
ḳhār-o-ḳhas ko bhī nigāhoñ meñ rakheñ ahl-e-chaman
varna mumkin nahīñ tanzīm-e-bahārāñ honā
dil ke TukḌe sar-e-dāman pe liye baiThā huuñ
khel samjhā thā ilāj-e-ġham-e-pinhāñ honā
merā kirdār hai zāhir mire ash.ār se 'kaif'
jaise tasvīr meñ ik rañg numāyāñ honā
sab jise kahte hain waqf-e-gham-e-jaanan hona
awwalin shart hai us ke liye insan hona
gham ke daghon ne baDa kaam banaya dil ka
is siyah-KHane mein mushkil tha charaghan hona
apne partaw ke siwa zehn mein kuchh bhi na raha
aur sikhlaiye aainon ko hairan hona
uf ye diwangi-e-ishq ki is bazm mein bhi
jab kabhi hosh mein aana to pareshan hona
bazm-e-alam ho ki mahshar meri danist mein hai
ek tajalli ka kai ruKH se numayan hona
KHar-o-KHas ko bhi nigahon mein rakhen ahl-e-chaman
warna mumkin nahin tanzim-e-bahaaran hona
dil ke TukDe sar-e-daman pe liye baiTha hun
khel samjha tha ilaj-e-gham-e-pinhan hona
mera kirdar hai zahir mere ashaar se 'kaif'
jaise taswir mein ek rang numayan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.