sab kahan kuchh lala-o-gul mein numayan ho gain
sab kahāñ kuchh lāla-o-gul meñ numāyāñ ho ga.iiñ
ḳhaak meñ kyā sūrateñ hoñgī ki pinhāñ ho ga.iiñ
yaad thiiñ ham ko bhī rangā-rang bazm-ārā.īyāñ
lekin ab naqsh-o-nigār-e-tāq-e-nisyāñ ho ga.iiñ
thiiñ banāt-un-nāsh-e-gardūñ din ko parde meñ nihāñ
shab ko un ke jī meñ kyā aa.ī ki uryāñ ho ga.iiñ
qaid meñ yāqūb ne lī go na yūsuf kī ḳhabar
lekin āñkheñ rauzan-e-dīvār-e-zindāñ ho ga.iiñ
sab raqīboñ se hoñ nā-ḳhush par zanān-e-misr se
hai zuleḳhā ḳhush ki mahv-e-māh-e-kan.āñ ho ga.iiñ
jū-e-ḳhūñ āñkhoñ se bahne do ki hai shām-e-firāq
maiñ ye samjhūñgā ki sham.eñ do farozāñ ho ga.iiñ
in parī-zādoñ se leñge ḳhuld meñ ham intiqām
qudrat-e-haq se yahī hūreñ agar vaañ ho ga.iiñ
niiñd us kī hai dimāġh us kā hai rāteñ us kī haiñ
terī zulfeñ jis ke baazū par pareshāñ ho ga.iiñ
maiñ chaman meñ kyā gayā goyā dabistāñ khul gayā
bulbuleñ sun kar mire naale ġhazal-ḳhvāñ ho ga.iiñ
vo nigāheñ kyuuñ huī jaatī haiñ yā-rab dil ke paar
jo mirī kotāhī-e-qismat se mizhgāñ ho ga.iiñ
bas-ki rokā maiñ ne aur siine meñ ubhrīñ pai-ba-pai
merī aaheñ baḳhiya-e-chāk-e-garebāñ ho ga.iiñ
vaañ gayā bhī maiñ to un kī gāliyoñ kā kyā javāb
yaad thiiñ jitnī duā.eñ sarf-e-darbāñ ho ga.iiñ
jāñ-fizā hai baada jis ke haath meñ jaam aa gayā
sab lakīreñ haath kī goyā rag-e-jāñ ho ga.iiñ
ham muvahhid haiñ hamārā kesh hai tark-e-rusūm
millateñ jab miT ga.iiñ ajzā-e-īmāñ ho ga.iiñ
ranj se ḳhūgar huā insāñ to miT jaatā hai ranj
mushkileñ mujh par paḌīñ itnī ki āsāñ ho ga.iiñ
yuuñ hī gar rotā rahā 'ġhālib' to ai ahl-e-jahāñ
dekhnā in bastiyoñ ko tum ki vīrāñ ho ga.iiñ
sab kahan kuchh lala-o-gul mein numayan ho gain
KHak mein kya suraten hongi ki pinhan ho gain
yaad thin hum ko bhi ranga-rang bazm-araiyan
lekin ab naqsh-o-nigar-e-taq-e-nisyan ho gain
thin banat-un-nash-e-gardun din ko parde mein nihan
shab ko un ke ji mein kya aai ki uryan ho gain
qaid mein yaqub ne li go na yusuf ki KHabar
lekin aankhen rauzan-e-diwar-e-zindan ho gain
sab raqibon se hon na-KHush par zanan-e-misr se
hai zuleKHa KHush ki mahw-e-mah-e-kanan ho gain
ju-e-KHun aankhon se bahne do ki hai sham-e-firaq
main ye samjhunga ki shamen do farozan ho gain
in pari-zadon se lenge KHuld mein hum intiqam
qudrat-e-haq se yahi huren agar wan ho gain
nind us ki hai dimagh us ka hai raaten us ki hain
teri zulfen jis ke bazu par pareshan ho gain
main chaman mein kya gaya goya dabistan khul gaya
bulbulen sun kar mere nale ghazal-KHwan ho gain
wo nigahen kyun hui jati hain ya-rab dil ke par
jo meri kotahi-e-qismat se mizhgan ho gain
bas-ki roka main ne aur sine mein ubhrin pai-ba-pai
meri aahen baKHiya-e-chaak-e-gareban ho gain
wan gaya bhi main to un ki galiyon ka kya jawab
yaad thin jitni duaen sarf-e-darban ho gain
jaan-fiza hai baada jis ke hath mein jam aa gaya
sab lakiren hath ki goya rag-e-jaan ho gain
hum muwahhid hain hamara kesh hai tark-e-rusum
millaten jab miT gain ajza-e-iman ho gain
ranj se KHugar hua insan to miT jata hai ranj
mushkilen mujh par paDin itni ki aasan ho gain
yun hi gar rota raha 'ghaalib' to ai ahl-e-jahan
dekhna in bastiyon ko tum ki viran ho gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.