sab ke chehron pe koi chehra hai
sab ke chehroñ pe koī chehra hai
koī dushman hai koī apnā hai
merī āñkhoñ meñ ḳhvāb haiñ tere
terī āñkhoñ meñ kaun rahtā hai
mujh se mujh ko kabhī to milne de
mujh se merā bhī koī rishta hai
sochtā huuñ ki in gulāboñ meñ
ruup kis kā hai rañg kis kā hai
aa ki duniyā ko ab batā bhī duuñ
chāñd ik aur maiñ ne DhūñDā hai
jaan sī Daal dī bujhe dil meñ
ishq kyā hai bas ik karishma hai
bazm us ke liye sajā.ī thī
aur vahī be-niyāz baiThā hai
sab ke chehron pe koi chehra hai
koi dushman hai koi apna hai
meri aankhon mein KHwab hain tere
teri aankhon mein kaun rahta hai
mujh se mujh ko kabhi to milne de
mujh se mera bhi koi rishta hai
sochta hun ki in gulabon mein
rup kis ka hai rang kis ka hai
aa ki duniya ko ab bata bhi dun
chand ek aur main ne DhunDa hai
jaan si Dal di bujhe dil mein
ishq kya hai bas ek karishma hai
bazm us ke liye sajai thi
aur wahi be-niyaz baiTha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.