sab ke honTon pe ye marne ki duaen kaisi
sab ke hoñToñ pe ye marne kī duā.eñ kaisī
chārāgar tū ne hameñ diiñ haiñ davā.eñ kaisī
ek hī pal meñ badalte haiñ manāzir kyā kyā
ham tirī āñkheñ banā.eñ to banā.eñ kaisī
mai-kashī chhoḌ do jab bhuul chuke ho us ko
ab shifā mil hī ga.ī hai to davā.eñ kaisī
aise hālāt meñ hañsne kī tamannā kis ko
aise māhaul meñ jiine kī duā.eñ kaisī
andhe logoñ ko sunā dete haiñ us kā chehra
aap ke log bhī dete haiñ sazā.eñ kaisī
hañste-gāte bhī udāsī nahīñ chhoḌī maiñ ne
chhoḌ detī haiñ jo bachchoñ ko vo maa.eñ kaisī
sab ke honTon pe ye marne ki duaen kaisi
chaaragar tu ne hamein din hain dawaen kaisi
ek hi pal mein badalte hain manazir kya kya
hum teri aankhen banaen to banaen kaisi
mai-kashi chhoD do jab bhul chuke ho us ko
ab shifa mil hi gai hai to dawaen kaisi
aise haalat mein hansne ki tamanna kis ko
aise mahaul mein jine ki duaen kaisi
andhe logon ko suna dete hain us ka chehra
aap ke log bhi dete hain sazaen kaisi
hanste-gate bhi udasi nahin chhoDi main ne
chhoD deti hain jo bachchon ko wo maen kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.