sab ke jalwe nazar se guzre hain
sab ke jalve nazar se guzre haiƱ
vo na jaane kidhar se guzre haiƱ
mauj-e-ÄvÄz-e-pÄ-e-yÄr ke saath
naÄ”hme dÄ«vÄr-o-dar se guzre haiƱ
aaj aayÄ hai apnÄ dhyÄn hameƱ
aaj dil ke nagar se guzre haiƱ
ghar ke goshe meƱ the kahīƱ pinhÄƱ
jitne sailÄb ghar se guzre haiƱ
zulf ke įø³ham hoƱ yÄ jahÄn ke Ä”ham
mar miTe ham jidhar se guzre haiƱ
sadaf-e-tah-nashīƱ bhÄ« kaaƱp gayÄ
kaise tÅ«fÄn sar se guzre haiƱ
baaÄ”h shÄdÄb mauj-e-gul hÄ« nahīƱ
sail-e-ḳhūñ bhī idhar se guzre haiñ
jab chaįøhÄ« hai kamÄƱ kahīƱ 'Äbid'
tere mere jigar se guzre haiƱ
sab ke jalwe nazar se guzre hain
wo na jaane kidhar se guzre hain
mauj-e-awaz-e-pa-e-yar ke sath
naghme diwar-o-dar se guzre hain
aaj aaya hai apna dhyan hamein
aaj dil ke nagar se guzre hain
ghar ke goshe mein the kahin pinhan
jitne sailab ghar se guzre hain
zulf ke KHam hon ya jahan ke gham
mar miTe hum jidhar se guzre hain
sadaf-e-tah-nashin bhi kanp gaya
kaise tufan sar se guzre hain
bagh shadab mauj-e-gul hi nahin
sail-e-KHun bhi idhar se guzre hain
jab chaDhi hai kaman kahin 'abid'
tere mere jigar se guzre hain
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 695)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.