sab ke munh mein tale-wale ab bhi hain
sab ke muñh meñ tāle-vāle ab bhī haiñ
nafrat apne dil meñ paale ab bhī haiñ
ġham se hai mansūb mohabbat kā rishta
dard-o-ġham ke yaar havāle ab bhī haiñ
mere gaañv meñ log sadā sach hī kahte
yahāñ magar har dil meñ taale ab bhī haiñ
merī jhoñpḌī chhoTī sī hai lekin yaar
is meñ rahne vaale nirāle ab bhī haiñ
qaa.em haiñ gang-o-jamnī tahzībeñ bhī
gaañv meñ masjid aur shivāle ab bhī haiñ
juute chappal sab ko pahnā.e muflis
nange pairoñ meñ to chhāle ab bhī haiñ
jannat kī to chaah nahīñ rakhte 'āqib'
is duniyā meñ yaar ujāle ab bhī haiñ
sab ke munh mein tale-wale ab bhi hain
nafrat apne dil mein pale ab bhi hain
gham se hai mansub mohabbat ka rishta
dard-o-gham ke yar hawale ab bhi hain
mere ganw mein log sada sach hi kahte
yahan magar har dil mein tale ab bhi hain
meri jhonpDi chhoTi si hai lekin yar
is mein rahne wale nirale ab bhi hain
qaem hain gang-o-jamni tahziben bhi
ganw mein masjid aur shiwale ab bhi hain
jute chappal sab ko pahnae muflis
nange pairon mein to chhaale ab bhi hain
jannat ki to chah nahin rakhte 'aqib'
is duniya mein yar ujale ab bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.