sab ki aankhon mein jo samaya tha
sab kī āñkhoñ meñ jo samāyā thā
kaun thā vo kahāñ se aayā thā
kis ne kī aaj pursish-e-ahvāl
koī apnā thā yā parāyā thā
miT ga.e ham to ye huā ma.alūm
bhuul kar koī muskurāyā thā
ek lazzat thī ḳhud-farebī meñ
varna kis ne fareb khāyā thā
aa ga.iiñ yaad phir vahī bāteñ
kal ba-mushkil jinheñ bhulāyā thā
sab the āseb-e-bazm ke maare
ham pe tanhā.iyoñ kā saayā thā
umr guzrī 'sahar' mohabbat meñ
ham ne dil kuchh ajiib paayā thā
sab ki aankhon mein jo samaya tha
kaun tha wo kahan se aaya tha
kis ne ki aaj pursish-e-ahwal
koi apna tha ya paraya tha
miT gae hum to ye hua malum
bhul kar koi muskuraya tha
ek lazzat thi KHud-farebi mein
warna kis ne fareb khaya tha
aa gain yaad phir wahi baaten
kal ba-mushkil jinhen bhulaya tha
sab the aaseb-e-bazm ke mare
hum pe tanhaiyon ka saya tha
umr guzri 'sahar' mohabbat mein
hum ne dil kuchh ajib paya tha
- Book : Barg-e-Sahar (Pg. 64)
- Author : Abu Mohammad Sahar
- Publication : Maktaba-e-Adab (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.