sab ki kahani ek taraf hai mera qissa ek taraf
sab kī kahānī ek taraf hai merā qissa ek taraf
ek taraf sairāb haiñ saare aur maiñ pyāsā ek taraf
ek taraf tumheñ jaldī hai us ke dil meñ ghar karne kī
ek taraf vo kar detā hai rafta rafta ek taraf
merī marzī thī maiñ zarre chuntā yā lahreñ chuntā
us ne sahrā ek taraf rakhā aur dariyā ek taraf
maiñ ne ab tak jitne bhī logoñ meñ ḳhuud ko bāñTā hai
bachpan se rakhtā aaya huuñ terā hissa ek taraf
jab se us ne khīñchā hai khiḌkī kā parda ek taraf
us kā kamrā ek taraf hai baaqī duniyā ek taraf
yuuñ to aaj bhī terā dukh dil dahlā detā hai lekin
tujh se judā hone ke baad kā pahlā hafta ek taraf
sab ki kahani ek taraf hai mera qissa ek taraf
ek taraf sairab hain sare aur main pyasa ek taraf
ek taraf tumhein jaldi hai us ke dil mein ghar karne ki
ek taraf wo kar deta hai rafta rafta ek taraf
meri marzi thi main zarre chunta ya lahren chunta
us ne sahra ek taraf rakha aur dariya ek taraf
main ne ab tak jitne bhi logon mein KHud ko banTa hai
bachpan se rakhta aaya hun tera hissa ek taraf
jab se us ne khincha hai khiDki ka parda ek taraf
us ka kamra ek taraf hai baqi duniya ek taraf
yun to aaj bhi tera dukh dil dahla deta hai lekin
tujh se juda hone ke baad ka pahla hafta ek taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.