sab ki pagDi ko hawaon mein uchhaala jae
sab kī pagḌī ko havāoñ meñ uchhālā jaa.e
sochtā huuñ koī aḳhbār nikālā jaa.e
pī ke jo mast haiñ un se to koī ḳhauf nahīñ
pī ke jo hosh meñ haiñ un ko sañbhālā jaa.e
āsmāñ hī nahīñ ik chāñd bhī rahtā hai yahāñ
bhuul kar bhī kabhī patthar na uchhālā jaa.e
sab ki pagDi ko hawaon mein uchhaala jae
sochta hun koi aKHbar nikala jae
pi ke jo mast hain un se to koi KHauf nahin
pi ke jo hosh mein hain un ko sanbhaala jae
aasman hi nahin ek chand bhi rahta hai yahan
bhul kar bhi kabhi patthar na uchhaala jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.