sab ki zaban pe zikr teri tund-KHu ka tha
sab kī zabāñ pe zikr tirī tund-ḳhū kā thā
mere laboñ pe qufl tirī aabrū kā thā
maiñ gū-magū meñ hī tire dar se palaT gayā
āvāz dostoñ kī thī lahja adū kā thā
chāragaroñ ko fikr thī nām-o-numūd kī
go ehtimām zaḳhm-e-jigar ke rafū kā thā
maiñ bahr-e-zindagī meñ jazīra-numā rahā
duniyā se ek rabt tirī aarzū kā thā
har ḳhūb-rū se maiñ ne kiyā vāda-e-vafā
sab ā.inoñ meñ aks mire ḳhūb-rū kā thā
māhir huuñ maiñ bhī ḳhūbi-e-guftār kā magar
darpesh marhala suḳhan-e-rū-ba-rū kā thā
jo harf meñ na saut meñ iz.hār pā sakī
sab dostoñ meñ zikr usī guftugū kā thā
sab ki zaban pe zikr teri tund-KHu ka tha
mere labon pe qufl teri aabru ka tha
main gu-magu mein hi tere dar se palaT gaya
aawaz doston ki thi lahja adu ka tha
chaaragaron ko fikr thi nam-o-numud ki
go ehtimam zaKHm-e-jigar ke rafu ka tha
main bahr-e-zindagi mein jazira-numa raha
duniya se ek rabt teri aarzu ka tha
har KHub-ru se main ne kiya wada-e-wafa
sab aainon mein aks mere KHub-ru ka tha
mahir hun main bhi KHubi-e-guftar ka magar
darpesh marhala suKHan-e-ru-ba-ru ka tha
jo harf mein na saut mein izhaar pa saki
sab doston mein zikr usi guftugu ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.