sab ko apnī tarah samajhtī hai
yaar tū bhī na kitnī bholī hai
surḳh dekhe haiñ maiñ ne lab us ke
aisā lagtā hai ḳhuun piitī hai
laḌ rahī hai vo be-sabab mujh se
shukr hai 'ishq ab bhī baaqī hai
us ko suljhāne meñ lage haiñ sab
shā'irī zulf yā pahelī hai
kal talak maiñ hī jis kā sab kuchh thā
aaj vo naam se bhī chiḌhtī hai
jaate jaate vo kah rahī thī mujhe
kyā karūñ ye ḳhudā kī marzī hai
maut to sar pe hai khaḌī kab se
baiThiye aap kursī ḳhālī hai
sab ko apni tarah samajhti hai
yar tu bhi na kitni bholi hai
surKH dekhe hain main ne lab us ke
aisa lagta hai KHun piti hai
laD rahi hai wo be-sabab mujh se
shukr hai 'ishq ab bhi baqi hai
us ko suljhane mein lage hain sab
sha'iri zulf ya paheli hai
kal talak main hi jis ka sab kuchh tha
aaj wo nam se bhi chiDhti hai
jate jate wo kah rahi thi mujhe
kya karun ye KHuda ki marzi hai
maut to sar pe hai khaDi kab se
baiThiye aap kursi KHali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.