sab ko dikhlaunga hunar apna
sab ko dikhlā.ūñgā hunar apnā
chhoḌ jā.ūñgā maiñ asar apnā
hai kaThin raah se guzar apnā
ḳhatm hotā nahīñ safar apnā
phuul us ke sharar bhī haiñ us ke
hai lagāyā huā shajar apnā
'mīr'-o-'ġhālib' jidhar se guzre the
hai isī raah se guzar apnā
be-qarārī kī kaifiyat hai udhar
dil bhī bechain hai idhar apnā
vo kisī aur kā huā 'arshad'
jis ko samjhe the 'umr bhar apnā
sab ko dikhlaunga hunar apna
chhoD jaunga main asar apna
hai kaThin rah se guzar apna
KHatm hota nahin safar apna
phul us ke sharar bhi hain us ke
hai lagaya hua shajar apna
'mir'-o-'ghaalib' jidhar se guzre the
hai isi rah se guzar apna
be-qarari ki kaifiyat hai udhar
dil bhi bechain hai idhar apna
wo kisi aur ka hua 'arshad'
jis ko samjhe the 'umr bhar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.