sab ko KHilaf mat kar
sab ko ḳhilāf mat kar
ā.īna saaf mat kar
qad yuuñ baḌā na hogā
lāf-o-gazāf mat kar
rahne de jo hai jaisā
koī ḳhilāf mat kar
jo kah rahā hai sun le
bas e'tirāf mat kar
jab jāntā nahīñ kuchh
to iḳhtilāf mat kar
sachchā.ī sāmne hai
ab inhirāf mat kar
sab ho chukā hai sābit
ab laam qaaf mat kar
mat bojh zehn par rakh
dil ke ḳhilāf mat kar
sab ko KHilaf mat kar
aaina saf mat kar
qad yun baDa na hoga
laf-o-gazaf mat kar
rahne de jo hai jaisa
koi KHilaf mat kar
jo kah raha hai sun le
bas e'tiraf mat kar
jab jaanta nahin kuchh
to iKHtilaf mat kar
sachchai samne hai
ab inhiraf mat kar
sab ho chuka hai sabit
ab lam qaf mat kar
mat bojh zehn par rakh
dil ke KHilaf mat kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.