sab ko ruswa bai bai kiya karo
sab ko rusvā baarī baarī kiyā karo
har mausam meñ fatve jaarī kiyā karo
rātoñ kā nīndoñ se rishta TuuT chukā
apne ghar kī pahre-dārī kiyā karo
qatra qatra shabnam gin kar kyā hogā
dariyāoñ kī da.ave-dārī kiyā karo
roz qasīde likkho gūñge bahroñ ke
fursat ho to ye begārī kiyā karo
shab bhar aane vaale din ke ḳhvāb buno
din bhar fikr-e-shab-bedārī kiyā karo
chāñd ziyāda raushan hai to rahne do
jugnū-bhayyā jī mat bhārī kiyā karo
jab jī chāhe maut bichhā do bastī meñ
lekin bāteñ pyārī pyārī kiyā karo
raat badan-dariyā meñ roz utartī hai
is kashtī meñ ḳhuub savārī kiyā karo
roz vahī ik koshish zinda rahne kī
marne kī bhī kuchh tayyārī kiyā karo
ḳhvāb lapeTe sote rahnā Thiik nahīñ
fursat ho to shab-bedārī kiyā karo
kāġhaz ko sab sauñp diyā ye Thiik nahīñ
sher kabhī ḳhud par bhī taarī kiyā karo
sab ko ruswa bari bari kiya karo
har mausam mein fatwe jari kiya karo
raaton ka nindon se rishta TuT chuka
apne ghar ki pahre-dari kiya karo
qatra qatra shabnam gin kar kya hoga
dariyaon ki dawe-dari kiya karo
roz qaside likkho gunge bahron ke
fursat ho to ye begari kiya karo
shab bhar aane wale din ke KHwab buno
din bhar fikr-e-shab-bedari kiya karo
chand ziyaada raushan hai to rahne do
jugnu-bhayya ji mat bhaari kiya karo
jab ji chahe maut bichha do basti mein
lekin baaten pyari pyari kiya karo
raat badan-dariya mein roz utarti hai
is kashti mein KHub sawari kiya karo
roz wahi ek koshish zinda rahne ki
marne ki bhi kuchh tayyari kiya karo
KHwab lapeTe sote rahna Thik nahin
fursat ho to shab-bedari kiya karo
kaghaz ko sab saunp diya ye Thik nahin
sher kabhi KHud par bhi tari kiya karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.