Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab kuchh kho kar mauj uDana ishq mein sikha

Hilal Fareed

sab kuchh kho kar mauj uDana ishq mein sikha

Hilal Fareed

MORE BYHilal Fareed

    sab kuchh kho kar mauj uḌānā ishq meñ sīkhā

    ham ne kyā kyā tiir chalānā ishq meñ sīkhā

    riit ke aage priit nibhānā ishq meñ sīkhā

    sādhū ban kar masjid jaanā ishq meñ sīkhā

    ishq se pahle tez havā ḳhauf bahut thā

    tez havā meñ hañsnā gaanā ishq meñ sīkhā

    har ik sarhad phāñd chukā thā sarkash dariyā

    us dariyā ko moḌ ke laanā ishq meñ sīkhā

    ishq kiyā to zulm huā aur zulm huā jab

    zulm ke aage sar na jhukānā ishq meñ sīkhā

    apne dukh meñ ronā-dhonā aap aayā

    ġhair ke dukh meñ ḳhud ko dukhānā ishq meñ sīkhā

    ishq jaadū kyā hotā hai ham se pūchho

    dhuul meñ mil kar phuul khilānā ishq meñ sīkhā

    kuchh bhī 'hilāl' ab Dīñgeñ maaro lekin tum ne

    mahfil mahfil dhuum machānā ishq meñ sīkhā

    sab kuchh kho kar mauj uDana ishq mein sikha

    hum ne kya kya tir chalana ishq mein sikha

    rit ke aage prit nibhana ishq mein sikha

    sadhu ban kar masjid jaana ishq mein sikha

    ishq se pahle tez hawa ka KHauf bahut tha

    tez hawa mein hansna gana ishq mein sikha

    har ek sarhad phand chuka tha sarkash dariya

    us dariya ko moD ke lana ishq mein sikha

    ishq kiya to zulm hua aur zulm hua jab

    zulm ke aage sar na jhukana ishq mein sikha

    apne dukh mein rona-dhona aap hi aaya

    ghair ke dukh mein KHud ko dukhana ishq mein sikha

    ishq ka jadu kya hota hai hum se puchho

    dhul mein mil kar phul khilana ishq mein sikha

    kuchh bhi 'hilal' ab Dingen maro lekin tum ne

    mahfil mahfil dhum machana ishq mein sikha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now