sab kuchh to zindagi ki mata-e-safar mein hai
sab kuchh to zindagi ki mata-e-safar mein hai
Ghaus Mohammad Ghausi
MORE BYGhaus Mohammad Ghausi
sab kuchh to zindagī kī matā-e-safar meñ hai
jab tum nazar meñ ho to zamāna nazar meñ hai
yuuñ bhī to soch nāz-kash-e-husn-e-dostāñ
terā bhī kuchh maqām kisī kī nazar meñ hai
paḌh lete haiñ vo sab kī nazar se diloñ kā haal
andar se kaun kyā hai sab un kī nazar meñ hai
kyuuñ ho rahā hai tajziya-e-jaur-e-nā-ravā
tasvīr kā ye ruḳh bhī kisī kī nazar meñ hai
yaaro shikār-e-vaqt huuñ yā āsmāñ-shikār
jo kuchh bhī huuñ sab ahl-e-nazar kī nazar meñ hai
ab kyā shikāyat-e-ravish-e-dostāñ karūñ
'ġhausī' mirī kamī bhī to merī nazar meñ hai
sab kuchh to zindagi ki mata-e-safar mein hai
jab tum nazar mein ho to zamana nazar mein hai
yun bhi to soch naz-kash-e-husn-e-dostan
tera bhi kuchh maqam kisi ki nazar mein hai
paDh lete hain wo sab ki nazar se dilon ka haal
andar se kaun kya hai sab un ki nazar mein hai
kyun ho raha hai tajziya-e-jaur-e-na-rawa
taswir ka ye ruKH bhi kisi ki nazar mein hai
yaro shikar-e-waqt hun ya aasman-shikar
jo kuchh bhi hun sab ahl-e-nazar ki nazar mein hai
ab kya shikayat-e-rawish-e-dostan karun
'ghausi' meri kami bhi to meri nazar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.