sab log kahani mein hi masruf rahe the
sab log kahānī meñ hī masrūf rahe the
dar-asl adākār haqīqat meñ mare the
jaate hue kamre kī kisī chiiz ko chhū de
maiñ yaad karūñgā ki tire haath lage the
āñkheñ bhī tirī fat.h na kar paa.e abhī tak
kis lamha-e-bekār meñ ham log bane the
ham yūñhī kisī baat ko dil par nahīñ lete
nuqsān ziyāda the so ghabrā.e hue the
itnā hī batā saktā huuñ ahbāb ke baare
kuchh tiir mirī pusht kī jānib se chale the
maiñ ne to kahā thā ki nikal jaate haiñ donoñ
us vaqt kahānī meñ sabhī log na.e the
sab log kahani mein hi masruf rahe the
dar-asl adakar haqiqat mein mare the
jate hue kamre ki kisi chiz ko chhu de
main yaad karunga ki tere hath lage the
aankhen bhi teri fath na kar pae abhi tak
kis lamha-e-bekar mein hum log bane the
hum yunhi kisi baat ko dil par nahin lete
nuqsan ziyaada the so ghabrae hue the
itna hi bata sakta hun ahbab ke bare
kuchh tir meri pusht ki jaanib se chale the
main ne to kaha tha ki nikal jate hain donon
us waqt kahani mein sabhi log nae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.