sab masruf hain apne apne hone mein
sab masrūf haiñ apne apne hone meñ
ḳhuub maza aatā hai un pe rone meñ
kuchh andhoñ kā rabt banegā sūraj se
hairat shāmil hogī jaadū Tone meñ
duniyā ko ik konā jaan rahe haiñ ham
paḌe hue haiñ duniyā ke ik kone meñ
banjar tujh meñ fasl ugā sakte haiñ ham
apnī miTTī ḳharch kareñge bone meñ
ham aadam kī zaat meñ jagmag chamke the
ham ko puurā ahd lagegā sone meñ
sab masruf hain apne apne hone mein
KHub maza aata hai un pe rone mein
kuchh andhon ka rabt banega suraj se
hairat shamil hogi jadu Tone mein
duniya ko ek kona jaan rahe hain hum
paDe hue hain duniya ke ek kone mein
banjar tujh mein fasl uga sakte hain hum
apni miTTi KHarch karenge bone mein
hum aadam ki zat mein jagmag chamke the
hum ko pura ahd lagega sone mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.