sab miT gae mange hai magar teri nazar aur
sab miT ga.e māñge hai magar terī nazar aur
ab laa.eñ kahāñ se batā dil aur jigar aur
kam ḳhaak ġharībān-e-mohabbat ko na jaano
uTTheñge isī ḳhaak se kal ḳhāk-ba-sar aur
har zarre meñ bas ek hī zarra nazar aa.e
gar chashm-e-tamāshā ko mile husn-e-nazar aur
kab baiTh sake manzil-e-hastī ko pahuñch kar
aage jo baḌā is se hai vo ek safar aur
duniyā meñ mohabbat kī kamī hai to balā se
ābād mohabbat kareñ aa shām-o-sahar aur
kyā tum ko takalluf hai mirī chāragarī meñ
ik tīr-e-nazar tīr-e-nazar tīr-e-nazar aur
ye kyā ki faqat ḳhaar hī qismat meñ likhe haiñ
ai ḳhāna-e-bar-andāz-e-chaman kuchh to idhar aur
'sarvar' kī kaTī kis tarah āḳhir shab-e-hijrāñ
kuchh tū hī batā qissa-e-ġham dīda-e-tar aur
sab miT gae mange hai magar teri nazar aur
ab laen kahan se bata dil aur jigar aur
kam KHak ghariban-e-mohabbat ko na jaano
uTThenge isi KHak se kal KHak-ba-sar aur
har zarre mein bas ek hi zarra nazar aae
gar chashm-e-tamasha ko mile husn-e-nazar aur
kab baiTh sake manzil-e-hasti ko pahunch kar
aage jo baDa is se hai wo ek safar aur
duniya mein mohabbat ki kami hai to bala se
aabaad mohabbat karen aa sham-o-sahar aur
kya tum ko takalluf hai meri chaaragari mein
ek tir-e-nazar tir-e-nazar tir-e-nazar aur
ye kya ki faqat KHar hi qismat mein likhe hain
ai KHana-e-bar-andaz-e-chaman kuchh to idhar aur
'sarwar' ki kaTi kis tarah aaKHir shab-e-hijran
kuchh tu hi bata qissa-e-gham dida-e-tar aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.