Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab mujhe be-sar-o-pa kahte hain

Meer Ali Ausat Rashk

sab mujhe be-sar-o-pa kahte hain

Meer Ali Ausat Rashk

MORE BYMeer Ali Ausat Rashk

    sab mujhe be-sar-o-pā kahte haiñ

    ai mohabbat ise kyā kahte haiñ

    jo kuchh us but ko barahman ne kahā

    ham kahīñ us se sivā kahte haiñ

    maiñ jo ro.uuñ use kahte haiñ maraz

    vo hañse us ko davā kahte haiñ

    jhuk ke qātil ko munāsib hai salām

    is ko taslīm-o-razā kahte haiñ

    kyā huā kahiye jo us but ko ḳhudā

    log bandoñ ko ḳhudā kahte haiñ

    kātib aa jaa.e to qāsid na mile

    use qismat likhā kahte haiñ

    'rashk' se baat bhī karte nahīñ aap

    kahiye is baat ko kyā kahte haiñ

    sab mujhe be-sar-o-pa kahte hain

    ai mohabbat ise kya kahte hain

    jo kuchh us but ko barahman ne kaha

    hum kahin us se siwa kahte hain

    main jo roun use kahte hain maraz

    wo hanse us ko dawa kahte hain

    jhuk ke qatil ko munasib hai salam

    is ko taslim-o-raza kahte hain

    kya hua kahiye jo us but ko KHuda

    log bandon ko KHuda kahte hain

    katib aa jae to qasid na mile

    use qismat ka likha kahte hain

    'rashk' se baat bhi karte nahin aap

    kahiye is baat ko kya kahte hain

    Source :
    • Book : Ghazal Usne Chhedi(3) (Pg. 8)
    • Author : Farhat Ehsas
    • Publication : Rekhta Books (2017)
    • Edition : 2017
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now