sab munafiq hi nazar aate hain baatil ke siwa
sab munāfiq hī nazar aate haiñ bātil ke sivā
haiñ sabhī shaad mire qatl pe qātil ke sivā
ashk āñkhoñ se gunāhoñ kī nadāmat meñ bahe
tab bhañvar se na kahīñ pahuñchā maiñ sāhil ke sivā
ḳhvāb dekho hai taraqqī kī zamānat be-shak
sab ko ta.abīr magar miltī hai kāhil ke sivā
maslakī jhagḌe furūī ye masā.il ko liye
aag aalim hī lagāte haiñ ye jāhil ke sivā
hosh meñ mai vo tasavvuf kī hī piine se rahe
hosh vaale sabhī ġhaflat meñ the ġhāfil ke sivā
ham pe ilzām jo ġhaddār-e-vatan kā dharte
aur ho sakte nahīñ vo koī buzdil ke sivā
chāplūsī se riyā-kārī se be-ġhairatī se
tum banoge sabhī kuchh rahbar-e-kāmil ke sivā
bhuuk shohrat kī tujhe dekh na gumnām kare
kaam kar naam bhī hogā tirā hāsil ke sivā
shikva har dam hī ta.assub kā na 'parvāna' karo
tum ho qābil to mile kuchh bhī na manzil ke sivā
sab munafiq hi nazar aate hain baatil ke siwa
hain sabhi shad mere qatl pe qatil ke siwa
ashk aankhon se gunahon ki nadamat mein bahe
tab bhanwar se na kahin pahuncha main sahil ke siwa
KHwab dekho hai taraqqi ki zamanat be-shak
sab ko tabir magar milti hai kahil ke siwa
maslaki jhagDe furui ye masail ko liye
aag aalim hi lagate hain ye jahil ke siwa
hosh mein mai wo tasawwuf ki hi pine se rahe
hosh wale sabhi ghaflat mein the ghafil ke siwa
hum pe ilzam jo ghaddar-e-watan ka dharte
aur ho sakte nahin wo koi buzdil ke siwa
chaplusi se riya-kari se be-ghairati se
tum banoge sabhi kuchh rahbar-e-kaamil ke siwa
bhuk shohrat ki tujhe dekh na gumnam kare
kaam kar nam bhi hoga tera hasil ke siwa
shikwa har dam hi tassub ka na 'parwana' karo
tum ho qabil to mile kuchh bhi na manzil ke siwa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.