sab pech-o-tab-e-shauq ke tufan tham gae
sab pech-o-tāb-e-shauq ke tūfān tham ga.e
vo zulf khul ga.ī to havāoñ ke ḳham ga.e
saarī fazā thī vādī-e-majnūñ kī ḳhvāb-nāk
jo rūshanās-e-marg-e-mohabbat the kam ga.e
vahshat sī ek lāla-e-ḳhūnīñ kafan se thī
ab ke bahār aa.ī to samjho ki ham ga.e
ab jin ke ġham kā terā tabassum hai parda-dār
āḳhir vo kaun the ki ba-mizhgān-e-nam ga.e
ai jāda-e-ḳhirām-e-mah-o-mahr dekhnā
terī taraf bhī aaj havā ke qadam ga.e
maiñ aur tere band-e-qabā kī hadīs-e-ishq
nā-dīda ḳhvāb-e-ishq ka.ī be-raqam ga.e
aisī koī ḳhabar to nahīñ sākinān-e-shahr
dariyā mohabbatoñ ke jo bahte the tham ga.e
sab pech-o-tab-e-shauq ke tufan tham gae
wo zulf khul gai to hawaon ke KHam gae
sari faza thi wadi-e-majnun ki KHwab-nak
jo rushanas-e-marg-e-mohabbat the kam gae
wahshat si ek lala-e-KHunin kafan se thi
ab ke bahaar aai to samjho ki hum gae
ab jin ke gham ka tera tabassum hai parda-dar
aaKHir wo kaun the ki ba-mizhgan-e-nam gae
ai jada-e-KHiram-e-mah-o-mahr dekhna
teri taraf bhi aaj hawa ke qadam gae
main aur tere band-e-qaba ki hadis-e-ishq
na-dida KHwab-e-ishq kai be-raqam gae
aisi koi KHabar to nahin sakinan-e-shahr
dariya mohabbaton ke jo bahte the tham gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.