sab uski mahfil mein hain
sab us kī mahfil meñ haiñ
aur ham us ke dil meñ haiñ
kal tak to ḳhush-hāl the ham
aaj baḌī mushkil meñ haiñ
raushan imkānāt mire
saare mustaqbil meñ haiñ
be-parda haiñ lailā.eñ
aur majnūñ mahmil meñ haiñ
muddat se ik azm liye
ham rāh-o-manzil meñ haiñ
jab se billī jaag uThī
saare chūhe bil meñ haiñ
ik din bār-āvar hoñge
tuḳhm jo āb-o-gil meñ haiñ
sab kuchh achchhā hai ab ham
umr kī us manzil meñ haiñ
sab us ki mahfil mein hain
aur hum us ke dil mein hain
kal tak to KHush-haal the hum
aaj baDi mushkil mein hain
raushan imkanat mere
sare mustaqbil mein hain
be-parda hain lailaen
aur majnun mahmil mein hain
muddat se ek azm liye
hum rah-o-manzil mein hain
jab se billi jag uThi
sare chuhe bil mein hain
ek din bar-awar honge
tuKHm jo aab-o-gil mein hain
sab kuchh achchha hai ab hum
umr ki us manzil mein hain
- Book : Neend Shart Nahin (Pg. 93)
- Author : Khawaja Jawed Akhtar
- Publication : Shabkhoon Kitabghar Allahabad (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.