sab yahan dhoka hai hum tum kuchh nahin
sab yahāñ dhoka hai ham tum kuchh nahīñ
zindagī meñ haiñ sabhī ġham kuchh nahīñ
khelte haiñ karb ke tūfān se
jānte haiñ ham tabassum kuchh nahīñ
ḳhuuñ ugaltā zindagī kā saaz hai
jis ko kahte haiñ tarannum kuchh nahīñ
ek pal meñ ruuh ruḳhsat ho ga.ī
jism ke andar tasādum kuchh nahīñ
maut ne luuTī hai merī zindagī
ḳhuuñ kī maujoñ meñ talātum kuchh nahīñ
bujh ga.ī ummīd kī kirneñ sabhī
mahr ko ab māh-o-anjum kuchh nahīñ
zindagī 'tauqīr' aisā hai parind
jis ke par haiñ choñch aur dum kuchh nahīñ
sab yahan dhoka hai hum tum kuchh nahin
zindagi mein hain sabhi gham kuchh nahin
khelte hain karb ke tufan se
jaante hain hum tabassum kuchh nahin
KHun ugalta zindagi ka saz hai
jis ko kahte hain tarannum kuchh nahin
ek pal mein ruh ruKHsat ho gai
jism ke andar tasadum kuchh nahin
maut ne luTi hai meri zindagi
KHun ki maujon mein talatum kuchh nahin
bujh gai ummid ki kirnen sabhi
mahr ko ab mah-o-anjum kuchh nahin
zindagi 'tauqir' aisa hai parind
jis ke par hain chonch aur dum kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.