saba phulon se karti hai KHitab aahista aahista
sabā phūloñ se kartī hai ḳhitāb āhista āhista
use miltī hai ḳhushbū-e-javāb āhista āhista
ḳhudārā ā.īye takmīl-e-ḳhalvat hone vaalī hai
dhaḌaktā hai dil-e-ḳhāna-ḳharāb āhista āhista
bhañvar kā Dar hai ab koī na sāhil kī tamanna hai
safīna jā rahā hai zer-e-āb āhista āhista
bahār aa.ī hai phir ġhuncha-ba-ġhuncha mere gulshan meñ
ḳhizāñ ko mil gayā āḳhir javāb āhista āhista
'rafīq' āñkheñ nahīñ khultī haiñ merī in shuāoñ meñ
ujāloñ se kaho toḌeñ hijāb āhista āhista
saba phulon se karti hai KHitab aahista aahista
use milti hai KHushbu-e-jawab aahista aahista
KHudara aaiye takmil-e-KHalwat hone wali hai
dhaDakta hai dil-e-KHana-KHarab aahista aahista
bhanwar ka Dar hai ab koi na sahil ki tamanna hai
safina ja raha hai zer-e-ab aahista aahista
bahaar aai hai phir ghuncha-ba-ghuncha mere gulshan mein
KHizan ko mil gaya aaKHir jawab aahista aahista
'rafiq' aankhen nahin khulti hain meri in shuaon mein
ujalon se kaho toDen hijab aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.