sabab-e-dard-e-jigar yaad aaya
sabab-e-dard-e-jigar yaad aayā
ya.anī vo tīr-e-nazar yaad aayā
jhilmilāne lage palkoñ pe nujūm
phir koī rashk-e-qamar yaad aayā
apnī manzil ke nishāñ paate hī
mujh ko āġhāz-e-safar yaad aayā
dekh kar aa.ina kis soch meñ ho
kyā koī ahl-e-nazar yaad aayā
bhūlne vaale taḌap uTThegā
maiñ kisī vaqt agar yaad aayā
un kī pāzeb udhar guuñj uThī
shor-e-zanjīr idhar yaad aayā
kyoñ ye bikhrā liye gesū tum ne
kyā koī ḳhāk-basar yaad aayā
ek hālat meñ basar ho na sakī
shaam ko vaqt-e-sahar yaad aayā
hil gayā qalb-e-do-ālam 'jarrār'
kaun kartā huā fariyād aayā
sabab-e-dard-e-jigar yaad aaya
yani wo tir-e-nazar yaad aaya
jhilmilane lage palkon pe nujum
phir koi rashk-e-qamar yaad aaya
apni manzil ke nishan pate hi
mujh ko aaghaz-e-safar yaad aaya
dekh kar aaina kis soch mein ho
kya koi ahl-e-nazar yaad aaya
bhulne wale taDap uTThega
main kisi waqt agar yaad aaya
un ki pazeb udhar gunj uThi
shor-e-zanjir idhar yaad aaya
kyon ye bikhra liye gesu tum ne
kya koi KHak-basar yaad aaya
ek haalat mein basar ho na saki
sham ko waqt-e-sahar yaad aaya
hil gaya qalb-e-do-alam 'jarrar'
kaun karta hua fariyaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.