sabab nahin tha koi yun to apne rone ka
sabab nahīñ thā koī yuuñ to apne rone kā
huā thā shauq magar āstīñ bhigone kā
ye kis ḳhayāl meñ din-rāt ab guzarte haiñ
na jāgne kā koī vaqt hai na sone kā
ham apne aap ko paane meñ is qadar gum the
hameñ milā hī nahīñ vaqt us ko khone kā
vo mauj-e-tund bhī dariyā kī tah meñ Duub ga.ī
jise thā shauq bahut kashtiyāñ Dubone kā
bas ek lams kī shāhid to merī hastī hai
ajab surūr thā miTTī tire khilaune kā
sabab nahin tha koi yun to apne rone ka
hua tha shauq magar aastin bhigone ka
ye kis KHayal mein din-raat ab guzarte hain
na jagne ka koi waqt hai na sone ka
hum apne aap ko pane mein is qadar gum the
hamein mila hi nahin waqt us ko khone ka
wo mauj-e-tund bhi dariya ki tah mein Dub gai
jise tha shauq bahut kashtiyan Dubone ka
bas ek lams ki shahid to meri hasti hai
ajab surur tha miTTi tere khilaune ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.