sabab thi fitrat-e-insan KHarab mausam ka
sabab thī fitrat-e-insāñ ḳharāb mausam kā
farishte jhel rahe haiñ 'azāb mausam kā
vo tishna-lab bhī fareb-e-nazar meñ aa.egā
use bhī DhūñD hī legā sarāb mausam kā
daraḳht yuuñ hī agar sabz sabz kaTte rahe
badal na jaa.e zamīñ par nisāb mausam kā
maiñ jis meñ rah na sakā jī-huzūriyoñ ke sabab
ye aadmī hai usī kāmyāb mausam kā
isī umiid meñ juuhī se bhar gayā āñgan
ki khilne vaalā hai ab ke gulāb mausam kā
bahār ho ga.ī phir apne-āp sharminda
kiyā thā dil ne bhī vo intiḳhāb mausam kā
khulīñ jo niiñd se āñkheñ hamārī yaañ 'āzar'
guzar chukā thā zamāna bhī ḳhvāb mausam kā
sabab thi fitrat-e-insan KHarab mausam ka
farishte jhel rahe hain 'azab mausam ka
wo tishna-lab bhi fareb-e-nazar mein aaega
use bhi DhunD hi lega sarab mausam ka
daraKHt yun hi agar sabz sabz kaTte rahe
badal na jae zamin par nisab mausam ka
main jis mein rah na saka ji-huzuriyon ke sabab
ye aadmi hai usi kaamyab mausam ka
isi umid mein juhi se bhar gaya aangan
ki khilne wala hai ab ke gulab mausam ka
bahaar ho gai phir apne-ap sharminda
kiya tha dil ne bhi wo intiKHab mausam ka
khulin jo nind se aankhen hamari yan 'azar'
guzar chuka tha zamana bhi KHwab mausam ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.