sabhi khaDe the sharik-e-zamana hote hue
sabhī khaḌe the sharīk-e-zamāna hote hue
kisī ne rokā na ghar se ravāna hote hue
charāġh bujhte chale jā rahe haiñ silsila-vār
maiñ ḳhud ko dekh rahā huuñ fasāna hote hue
achānak ek sitāra falak se Tuut gayā
mire bhī shāmil-e-bazm-e-shabāna hote hue
mirā hamesha un alfāz par yaqīn rahā
jo munkashif hue lab se adā na hote hue
isī tarah ke haiñ jitne bhī dukh hamāre haiñ
saroñ pe chhāñv nahīñ shāmiyāna hote hue
mirā bhī naam hai fehrist-e-mujrimāñ meñ likhā
maiñ dekhtā rahā ḳhālī ḳhazāna hote hue
parind lauT ke aane hī par nahīñ raazī
koī to baat hai jo āshiyāna hote hue
'ajab vo log the āzār bhī 'ajab un ke
zamīn chhoḌ ga.e āb-o-dāna hote hue
yahāñ to ḳhastagī-e-bām-o-dar pe chup haiñ sabhī
koī taḌaptā hai bairūn-e-ḳhāna hote hue
mirā kamāl ki maiñ is fazā meñ zinda huuñ
du'ā na milte hue aur havā na hote hue
harīf thā mire dushman kā vo magar maiñ ne
'jamāl' kī nahīñ bai'at bahāna hote hue
sabhi khaDe the sharik-e-zamana hote hue
kisi ne roka na ghar se rawana hote hue
charagh bujhte chale ja rahe hain silsila-war
main KHud ko dekh raha hun fasana hote hue
achanak ek sitara falak se Tut gaya
mere bhi shamil-e-bazm-e-shabana hote hue
mera hamesha un alfaz par yaqin raha
jo munkashif hue lab se ada na hote hue
isi tarah ke hain jitne bhi dukh hamare hain
saron pe chhanw nahin shamiyana hote hue
mera bhi nam hai fehrist-e-mujriman mein likha
main dekhta raha KHali KHazana hote hue
parind lauT ke aane hi par nahin raazi
koi to baat hai jo aashiyana hote hue
'ajab wo log the aazar bhi 'ajab un ke
zamin chhoD gae aab-o-dana hote hue
yahan to KHastagi-e-baam-o-dar pe chup hain sabhi
koi taDapta hai bairun-e-KHana hote hue
mera kamal ki main is faza mein zinda hun
du'a na milte hue aur hawa na hote hue
harif tha mere dushman ka wo magar main ne
'jamal' ki nahin bai'at bahana hote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.