Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sabhi ko gham hai samundar ke KHushk hone ka

Shahryar

sabhi ko gham hai samundar ke KHushk hone ka

Shahryar

MORE BYShahryar

    sabhī ko ġham hai samundar ke ḳhushk hone

    ki khel ḳhatm huā kashtiyāñ Dubone

    barahna-jism bagūloñ qatl hotā rahā

    ḳhayāl bhī nahīñ aayā kisī ko rone

    sila koī nahīñ parchhā.iyoñ puujā

    ma.aal kuchh nahīñ ḳhvāboñ fasl bone

    bichhaḌ ke tujh se mujhe ye gumān hotā hai

    ki merī āñkheñ haiñ patthar jism sone

    hujūm dekhtā huuñ jab to kaañp uThtā huuñ

    agarche ḳhauf nahīñ ab kisī ke khone

    ga.e the log to dīvār-e-qahqaha taraf

    magar ye shor musalsal hai kaisā rone

    mire vajūd pe nafrat gard jamtī rahī

    milā na vaqt use āñsuoñ se dhone

    sabhi ko gham hai samundar ke KHushk hone ka

    ki khel KHatm hua kashtiyan Dubone ka

    barahna-jism bagulon ka qatl hota raha

    KHayal bhi nahin aaya kisi ko rone ka

    sila koi nahin parchhaiyon ki puja ka

    maal kuchh nahin KHwabon ki fasl bone ka

    bichhaD ke tujh se mujhe ye guman hota hai

    ki meri aankhen hain patthar ki jism sone ka

    hujum dekhta hun jab to kanp uThta hun

    agarche KHauf nahin ab kisi ke khone ka

    gae the log to diwar-e-qahqaha ki taraf

    magar ye shor musalsal hai kaisa rone ka

    mere wajud pe nafrat ki gard jamti rahi

    mila na waqt use aansuon se dhone ka

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    sabhi ko gham hai samundar ke KHushk hone ka Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now