sabhi raste tere nam ke sabhi fasle tere nam ke
sabhi raste tere nam ke sabhi fasle tere nam ke
Hasan Shahnawaz Zaidi
MORE BYHasan Shahnawaz Zaidi
sabhī rāste tire naam ke sabhī fāsle tire naam ke
kabhī mil mujhe mirī soch ke sabhī dā.ere tire naam ke
mire kaam ke to nahīñ haiñ ye ye jo mere lāt-o-manāt haiñ
ye mujhe aziiz haiñ is liye ki haiñ silsile tire naam ke
maiñ sharāb piitā to kis tarah mujhe tere hukm kā paas thā
magar aaj saaqī ne jab diye mujhe vāste tire naam ke
koī mimbaroñ pe hai mo'tabar koī sar-kashīda hai daar par
vo sahūlateñ tire zikr kī ye mujāhide tire naam ke
yahāñ jo bhī thā vo tujhī se thā yahāñ jo bhī hai vo tujhī se hai
sabhī aks haiñ tirī zaat ke sabhī rañg the tire naam ke
abhī maiñ ne zulmat-e-shab kī samt nigāh Daalī thī ġhaur se
ki kisī ne dil kī muñDer par diye rakh diye tire naam ke
sabhi raste tere nam ke sabhi fasle tere nam ke
kabhi mil mujhe meri soch ke sabhi daere tere nam ke
mere kaam ke to nahin hain ye ye jo mere lat-o-manat hain
ye mujhe aziz hain is liye ki hain silsile tere nam ke
main sharab pita to kis tarah mujhe tere hukm ka pas tha
magar aaj saqi ne jab diye mujhe waste tere nam ke
koi mimbaron pe hai mo'tabar koi sar-kashida hai dar par
wo sahulaten tere zikr ki ye mujahide tere nam ke
yahan jo bhi tha wo tujhi se tha yahan jo bhi hai wo tujhi se hai
sabhi aks hain teri zat ke sabhi rang the tere nam ke
abhi main ne zulmat-e-shab ki samt nigah Dali thi ghaur se
ki kisi ne dil ki munDer par diye rakh diye tere nam ke
- Book : Tamasha (Pg. 154)
- Author : Hassan Shahnawaz Zaidi
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.