sabhi samton ko Thukra kar uDi jae
sabhī samtoñ ko Thukrā kar uḌī jaa.e
kahāñ tak jaane gard-e-gum-rahī jaa.e
bachā kar apne saa.e ko kahāñ rakhūñ
ki shab to har taraf ko phailtī jaa.e
koī dīvār hai terī samā'at bhī
ki jo āvāz aa.e lauTtī jaa.e
na pahroñ likh sakūñ maiñ koī baat apnī
'ajab sī gard kāġhaz par jamī jaa.e
achānak TuuT jaa.e qasr-e-tanhā.ī
koī āvāz khiḌkī kholtī jaa.e
sunā hai maiñ sadāoñ kā samundar huuñ
ye sannāTā kahīñ mujh ko na pī jaa.e
vahāñ basne kī ḳhvāhish muñh take merā
imārat bante bante TūTtī jaa.e
ubharte jaa.eñ rañgoñ ke khule manzar
magar be-fursatī āñkhoñ ko sī jaa.e
yuuñ hī khapte na jaa.eñ roz-o-shab meñ ham
kabhī to baat be-mausam bhī kī jaa.e
ye tum kis ke liye jalte ho goshoñ meñ
chalo chhat par saḌak tak raushnī jaa.e
sabhi samton ko Thukra kar uDi jae
kahan tak jaane gard-e-gum-rahi jae
bacha kar apne sae ko kahan rakhun
ki shab to har taraf ko phailti jae
koi diwar hai teri sama'at bhi
ki jo aawaz aae lauTti jae
na pahron likh sakun main koi baat apni
'ajab si gard kaghaz par jami jae
achanak TuT jae qasr-e-tanhai
koi aawaz khiDki kholti jae
suna hai main sadaon ka samundar hun
ye sannaTa kahin mujh ko na pi jae
wahan basne ki KHwahish munh take mera
imarat bante bante TuTti jae
ubharte jaen rangon ke khule manzar
magar be-fursati aankhon ko si jae
yun hi khapte na jaen roz-o-shab mein hum
kabhi to baat be-mausam bhi ki jae
ye tum kis ke liye jalte ho goshon mein
chalo chhat par saDak tak raushni jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.