sabhi shikasta-o-ranjur le ke aai hai
sabhī shikasta-o-ranjūr le ke aa.ī hai
sadī ye kaun se dastūr le ke aa.ī hai
ham ahl-e-qarya-e-zulmat ko terī āñkhoñ tak
ik ārzū-e-shab-e-nūr le ke aa.ī hai
mashām-e-jāñ ho mo'attar ye mā'rifat Thahrī
havā azal se gul-e-tūr le ke aa.ī hai
udaas āñkhoñ kī vīrān maañg bharne ko
ye niiñd ḳhvāb kā sindūr le ke aa.ī hai
sabhi shikasta-o-ranjur le ke aai hai
sadi ye kaun se dastur le ke aai hai
hum ahl-e-qarya-e-zulmat ko teri aankhon tak
ek aarzu-e-shab-e-nur le ke aai hai
masham-e-jaan ho mo'attar ye ma'rifat Thahri
hawa azal se gul-e-tur le ke aai hai
udas aankhon ki viran mang bharne ko
ye nind KHwab ka sindur le ke aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.