sabhi yun roenge to mera rona kaun dekhega
sabhī yuuñ ro.eñge to merā ronā kaun dekhegā
sambhālo dosto ḳhud ko corona kaun dekhegā
idhar qahr-e-ḳhudāvandī udhar aThkheliyāñ un kī
siyāsī logoñ kā ye jādū-Tonā kaun dekhegā
hamesha ek hī manzar ye T-v band kar Daalo
karoḌoñ logoñ kā ye ronā-dhonā kaun dekhegā
maqām-e-ḳhairiyat vo ho jahāñ aa kar koī pūchhe
tū jis goshe meñ rotā hai vo konā kaun dekhegā
are kam-baḳht tū curfew meñ bhī ghar nahīñ jaatā
sahāfī terā aḳhbārī bichhaunā kaun dekhegā
agar qudrat na ho to kaam ye mumkin nahīñ hotā
ġhazal meñ aisī bātoñ kā samonā kaun dekhegā
hameñ mahfūz rakhnā tū zamāne kī balāoñ se
ḳhudā jab ham na hoñge terā honā kaun dekhegā
sabhi yun roenge to mera rona kaun dekhega
sambhaalo dosto KHud ko corona kaun dekhega
idhar qahr-e-KHudawandi udhar aThkheliyan un ki
siyasi logon ka ye jadu-Tona kaun dekhega
hamesha ek hi manzar ye T-w band kar Dalo
karoDon logon ka ye rona-dhona kaun dekhega
maqam-e-KHairiyat wo ho jahan aa kar koi puchhe
tu jis goshe mein rota hai wo kona kaun dekhega
are kam-baKHt tu curfew mein bhi ghar nahin jata
sahafi tera aKHbari bichhauna kaun dekhega
agar qudrat na ho to kaam ye mumkin nahin hota
ghazal mein aisi baaton ka samona kaun dekhega
hamein mahfuz rakhna tu zamane ki balaon se
KHuda jab hum na honge tera hona kaun dekhega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.