sabr ke phal ab rasile ho gae
sabr ke phal ab rasīle ho ga.e
ab tumhāre ġham nashīle ho ga.e
ek pagDanDī saḌak banñe ko hai
ḳhauf se kuchh peḌ piile ho ga.e
inkisārī aur anā kī jang meñ
mere andar do qabīle ho ga.e
ham añdhere meñ bahut sarsabz the
raushnī paḌte hī piile ho ga.e
kyā añdhere ke laboñ meñ zahr thā
raushnī ke hoñTh niile ho ga.e
sabr ke phal ab rasile ho gae
ab tumhaare gham nashile ho gae
ek pagDanDi saDak banne ko hai
KHauf se kuchh peD pile ho gae
inkisari aur ana ki jang mein
mere andar do qabile ho gae
hum andhere mein bahut sarsabz the
raushni paDte hi pile ho gae
kya andhere ke labon mein zahr tha
raushni ke honTh nile ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.